nazdikiyaan



unhone liya kuch iss kadar aagosh mein
saare zakhmon ko marham lagaa diya 
unke seene pe rakh kar sar jo soyi kuch pal
guzri hui tamaan raaton ki neend ne palkon ko choom liya
jo guzri thi kabhi unke deedar ke intezaar mein
ab jaake woh raatein unke naam hui
ghool gayi saansein iss kadar ik-dusre ki saanson mein
na unka kuch raha na raha kuch mera
kho gaye dono ik-dusre mein, duniya se anjaan hue
woh khoye rahe jhulfon mein meri
aur main unki muskurahat ki deewani hui.





Return to Main Page