safar hai tanha...



baatein karte hain sabhi, kaam koi aata nahi ...
safar hai tanha apna, saath koi deta nahi.

chalo, giro, girkar khud sambhal jao
koi uthayega tumhe ummeed ye karna nahi...
safar hai tanha apna, saath koi deta nahi.

apne apne jhamele hain, gum hai duniya saari apne hi jhamele mein
padi hai hathkadiyaan sabhi ke haathon mein  ...
koi tumhari hathkadi chudaaye ummeed ye karna nahi.
safar hai tanha apna, saath koi deta nahi.

chalo, giro, girkar khud sambhal jao
koi uthayega tumhe ummeed ye karna nahi...
baatein karte hain sabhi, kaam koi aata nahi.





Return to Main Page