kuch pal



baahon mein le lo mujhe
ke aaj main bahut thak gayi hu
hausla do mujhe, kaano mein halke se kuch kaho
ke aaj main bahut akela mehsus kar rahi hu

bahut sataaya hai zamaane ne mujhe
tumhe pata hai, aaj main bahut royi hu?
tumhari baahon mein aake kuch pal sona chahti hu
ke pata nahi kabse main chain ki neend soyi nahi hu

apne lab zara rakh do mere labon par
kisi ki hu main, zara ehsaas hone do
jakhde raho baahon mein mujhe
mujhe pyar karo, main chahu bhi to mujhe jaane na do

aaj sab kuch bhoolkar tumhari bann jaana chahti hu
aaj haarkar jeetne ka sukh uthaana chahti hu
baahon mein le lo mujhe
ke aaj main bahut thak gayi hu






Return to Main Page