khamoshi


khamoshi bhi kabhi bahut kuch keh jaati hai
rote hue chehre pe muskurahat chhod jaati hai
jab saath nahi deta koi, tab khamoshi saath deti hai
akelepann mein jhulaste mann ko thandak de jaati hai
khamoshi badi khoobi se dard ka shor khamosh kar jaati hai
sunti hu main aksar, iske saath ghanton baatein karti hu
jab bhi raat mein jaagti hu akele, khamoshi ko baahon mein le leti hu








Return to Main Page

poems on depression

Creative Commons License

Literature by Arti Honrao is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License. unless mentioned otherwise.
Images (c) Google Images, unless mentioned otherwise.