Khamoshi




raat ki khamoshi mein, subah ke intezaar mein
do pal guzarti hoon main apne antarmann ke saath
sunti hu kabhi uski awaaz ko
kabhi bahut kuch kehti hoon usse.

ek main aur ek woh,
dono milkar fir zindagi ki guttiyaan suljhaane ki koshish karte hain
haar jaate hain kabhi, kabhi thak kar baith jaate hain
magar fir josh se khade hokar aage badhte hain, muskuraate hain.

khamosh raat bhi fir saath deti hai
thake hue tan ko halke se choo jaati hai,
accha laghta hai tab, jaan mein jaan aa jaati hai
zindagi haseen ho jaati hai.





रात की खामोशी में, सुबह के इंतज़ार में
दो पल गुजारती हूँ मैं अपने अन्तर्मन् के साथ
सुनती हूँ कभी उसकी आवाज़ को,
कभी बहुत कुछ कहती हूँ उससे.

एक मैं और एक वोह,
दोनों मिलकर फिर ज़िन्दगी की गुत्तियाँ सुलझाने की कोशिश करते हैं
हार जाते हैं कभी, कभी थक कर बैठ जाते हैं
मगर फिर जोश से खड़े होकर आगे बड़ते हैं, मुस्कुराते हैं

खामोश रात भी फिर साथ देती है
थके हुए तन को हलके से छु जाती है,
अच्छा लगता है तब, जान में जान आ जाती है
ज़िन्दगी हसीं हो जाती है


Return to Main Page