kya boss...?


kabhi jab achanak se 
zindagi ke safar mein
bhaagdaud ke maahol mein
ek puraana dost aakar halke se 
kaandhe par haath rakhkar poochta hai
"kya boss, kya ho raha hai life mein?"
jaane kyun uss waqt aankhein bhar aati hai.

kyun achanak se puraani yaadein
 deti hai dastak dil ke darwaaze par
puraani yaadon mein se kuch geet
bajhne laghte hain kahinn background mein
"purani jeans aur guitar"
ke shabd nam kar jaate hain palkein -
unn ladkon ke bhi jo shayad roye the sirf bachpann mein

aaj bhi jab kahinn bajhte hain kuch khaas gaane
kahinn kisi party mein ya fir radio par
raungte khade ho jaate hain
palkein bheegti hain, bheeg jaati hai dil ki zameen
yaadon ki baucchar hoti hai jab
jaane kyun sab accha sa lagne laghta hai
aise mehsoos hota hai ke -
maano woh pal fir se zindagi ka hissa bann rahe hain
fir ek dusri duniya bann jaati hai
iss bhaagdaud ki duniya se pare

jab achanak se koi puraana dost 
kaandhe par haath rakh kar poochta hai
"kya boss, kya ho raha hai life mein?"
tab zabaan par ek hi jawaab aata hai -
"bas yaar tu aa gaya to yaadein taaza ho gayi"







Return to Main Page