chahta hoon (in reply to poem 'chahti hoon')


tere sapno ko jaanta tha main pehle se
ab tere sapno ko sach karna chahta hoon
yun to bahut kuch kehna hai
par bina kahe tum samajh jao yeh chahta hoon

taqdeer ne khele aise khel
tere kareeb hoke bhi chup raha
ab baat nikal hi gayi hai
to ikraar karna chahta hoon

teri aankhon mein roz dekhta tha
ab teri aankhon mein kho jaana chahta hoon
tere paas baithta tha pehle bhi
ab tujhe mehsoos karna chahta hoon
sirf naam ke liye so raha tha ab tak
neend kahan thi aankhon ein
ab teri aankhon mein dekte dekhte
chain ki neend sona chahta hoon

roz uthta hoon alarm ki awaaz sunnkar
ab "ajee sunte ho" ki awaaz sunnkar uthna chahta hoon
waise to main kisi ko haq jataane nahi deta
par tere pyar ke saamne sirh jhukaana chahta hoon.


In reply to Chahti Hoon,



Return to Main Page