main meri kahani sunaati rahi


main meri kahani sunaati rahi
woh apne geet gaata raha
raatbhar baarish hoti rahi
chhat se aansu tapakta raha

awaazein kahinn durr se aati rahi
paas ka sannata daraata raha
uske labon pe muskurahat saji rahi
mere chehre ka gam chipa raha

main meri kahani sunaati rahi
woh apne geet gaata raha

uski kahi har baat dil tak pahunchti rahi
maine likha aankhon ka ashk mitaata raha
main apne haathon ki lakeeron ko dekhti rahi
woh mera haath pakadne ki koshish karta raha

raatbhar baarish hoti rahi
chhat se aansu tapakta raha

khushiyaan dastak deti rahi
gam dera daale baitha raha
dilon mein duriyaan kaayam rahi
saanson ka sangeet gunjta raha

main meri kahani sunaati rahi
woh apne geet gaata raha
raatbhar baarish hoti rahi
chhat se aansu tapakta raha




Return to Main Page